Baa-Maani با معنى lafz koh موضوع Maudoo kahte hai, Aur بے معنى Be-Maani Lafz koh مهمل Mohmal kahte hai.
موضوع
Maudoo : 2-doh hisso par
mushtammil hai مفرّد Mufarrad aur مركب Murakkab, Mufarrad
lafz koh كلمةKalmah kahte hai.
Iqsaam-ul-Kalimah
3-teen hai Wo yeh hai;
Ism : Kisi bhi
jagah, shaks, admi, cheez, sifaat aur Kaam ka naam sameyt sab Ism kqah-laatey
hai, Ism-Waahid hai iski jamaa-Asmaa hai, Ism mein Zamaanah nahi hota.
Alaamat-e-Ism,
Iqsmaa-ul-Ism
Faal : Koyi bhi kaam
koh Faal kahte hai in-mein zamaana hota hai, Faal-e-Maadiy yaani joh zamaana
guzar chukka ho, Faal-e-Mudaar yaani joh zamaana guzre-ga ya guzar raha hai.
Faal-e-Mudaari ka talluq Haal aur Mustaqbeel sey hai jabke Faal-e-Maadiy ka
talluq Mustaqbeel sey hai.
Harf : Aysa lafz koh
jumle mein ism aur faal koh jorney ke liye istemaal hota hai jaise; mein, par,
saath, aur, ya etc.
[Note : In sabhi ki
tafseel/ details aagey-aaney waale sabaqo mein hai]
Next Post : 2. الاسم Ism, The Nouns/
Nominals [p19]

No comments:
Post a Comment