Tuesday, March 14, 2023

(Post-2) Arabi Huroof key usool aur Qawaayid

Basic Arabic Course | Course-A | Makharij aur Tajweed | Post-2 : Arabi Huroof ke Usool aur Qawaayid

Alif : Par Zabar, Zeyr aur Peysh “koyi bhi Harakaat” aaye toh wo Hamzah kah-laata hai.

Harakaat : Jiss Huroof par Haraakat Ho Usseh Mutaharrik Kahte hai.


7 Motay (purr) Padhe Jaane waale Huroof : In Hurfo’n mein 7 Huroof ayse hai joh Motay padhe jaate hai in sab ko Huroof-e-Mutaliyah kahte wo yeh hai; (خ Kha), (ص Suad), (ض Duad), (ط Taw), (ظ Zhaw), (غ Gayn), (ق Qaaf).

                                                        

Huroof-e-Halaqiyyah : yeh kull 6 hai

(ء ه Hamzah, Hha) yeh Halaq ke Neeche waale Hisse se Adaa hoti hai,

(ع ح Ayn, Ha) yeh Halaq ke Darmiyan waale Hisse se Adaa hoti hai,

(غ خ Gayn, Kha) yeh Halaq ke Uppar waale Hisse se Adaa hoti hai.

 

Huroof-e-Lahwiyyah : yeh kull 2 hai

(ق Qaaf) Zabaan ki Jarr Aur Taalu ke naram hisse se Adaa Hoti hai,

(ك Kaaf) Zabaan ki Jarr Aur Taalu ke sakht hisse se Adaa hoti hai.

 

Huroof-e-Shajariyyah : yeh kull 3 hai

(ج ش ي Jeem, Sheen, Yaa) Zabaan ke Darmiyaan aur Taalu ke Darmiyaan se adaa hoti hai.

 

 

Huroof-e-Haafiyah : yeh 1 hai

(ض Duad) Zabaan ki karwat aur ki daato’n ke jar se adaa hoti hai.

 

Huroof-e-Tarafiyyah : yeh kull 3 hai

(ل ن ر Laam, Noon, Ra) Zabaan ka kinaara aur Daato’n ki jarr ke Taalu ki jaanib waale hisse se adaa hoti hai.

 

Huroof-e-Nateiyyah : yeh kull 3 hai

(ت د ط Ta, Dal, Taw) Zabaan ki Nok aur uppar ke Daato’n ki jarr se adaa hoti hai.

Huroof-e-Lithawiyyah : yeh kull 3 hai

(ث ذ ظ Tha, Zhal, Zhaw) Zabaan ka sirra aur up uppar ke Daato’n androoni kinaare se hisse se adaa hoti hai.

 

Huroof-e-Safeeriyyah : yeh kull 3 hai

(ز س ص Za, Seen, Suad) Zabaan ki Nok aur Dono Daato’n ke androoni kinaare se adaa hoti hai.

 

Huroof-e-Shafawiyyah : yeh kull 4 hai

(ف Fa) Uppar ke daato’n ke kinaare aur ho’nto ke tarr hisse sey adaa hoti hai,

(ب Ba) Dono ho’nto ke tarr hisse se adaa hoti hai,

(م Meem) Dono ho’nto ke khushq hisse se adaa hoti hai,

(و Waw) Dono ho’nto ki Golaayi se adaa hoti hai.

No comments:

Post a Comment

13. Faal-e-Amr wa Nahiy thalaathi-mujarrid Afaal-e-Saheehah [p114]

Faal-e-Maadiy aur Faal-e-Mudaari “Thalaathi-Mujarrid Afaal-e-Saheehah Maroof aur Majhool ke karney ke baad abh hum “Faal-e-Amr wa Nahiy Thal...