Tuesday, March 14, 2023

(Post-7) Tashdeed

 Basic Arabic Course | Course-A | Makharij aur Tajweed | Post-7 : Tashdeed

(ّ) Jis Huroof par Tashdeed ho usseh “Mushaddad” kahte hai, Mushaddad Huroof koh doh-martaba padhe Ek martaba apne sey pahle “Harakaat waale” Huroof sey mill-kar aur Doosri martaba khud apni Harakaat ke Mutaabiq zhara-ruk kar adaa karey.

Noon-Mushaddad aur Meem-Mushaddad mein humesha Gunnah hota hai, Gunna ka maani Awaaz ko naak mein lekar jaana hai, Gunna ki miqdaad Ek-Alif ke Mutaabiq hai.

Agar Pahla Hurf mein Harakaat ho, doosra hurf Saakin aur Teesra Hurf Mushaddad ho toh Hurf-e-Saakin nahi Adaa kiya jaayega.

Hamzah Zabar Ba Mushaddad Zabar

Abba

اَبَّ

Hamzah Zabar Ba Mushaddad Peysh

Abbu

اَبُّ

Ra Zabar Ba Mushaddad Zeyr

Rabbi

رَبِّي

Ha Zabar Ba Mushaddad Zabar

Habba

حَبَّ

Duad Zabar Laam Mushaddad Zabar

Dalla

ضَلَّ

Meem Zabar Seen Mushaddad Zabar

Massa

مَسَّ

Ayn Zabar Daal Mushaddad Zabar

3adda

عَدَّ

No comments:

Post a Comment

13. Faal-e-Amr wa Nahiy thalaathi-mujarrid Afaal-e-Saheehah [p114]

Faal-e-Maadiy aur Faal-e-Mudaari “Thalaathi-Mujarrid Afaal-e-Saheehah Maroof aur Majhool ke karney ke baad abh hum “Faal-e-Amr wa Nahiy Thal...