Sunday, April 9, 2023

11. Faal-e-Maadiy thalaathi-mujarrid Afaal-e-Saheehah [p112] Majhool

 Thalaathi-Mujarrid Afaal-e-saheehah Faal-e-Maadiy-Majhool ka sirf ek-hi wazan ho hai wo yeh hai;

فُعِلَ

Fu3ila

tarjuma: kiya gaya

Maroof koh Majhool banaane ke lafz/ maddah koh Majhool key wazan pey laatey hai;

Misaal ke tawr pey Maadiy-Maroof hai Kataba كَتَبَ “usne likha” isko Majhool banaane ke liye kataba koh Fu3ila ke wazan pey laate hai abh yeh Kutiba كُتِبَ “likha gaya” Majhool hai.

Ishi-tarah sabhi Huroof koh Majhool banaaye yaad-rahe yeh wazan sirf “Faal-e-Maadiy Thalaathi Mujarrid Afaal-e-Saheehah Majhool” ka hai. Mudaari ke liye yeh wazan istemaal nahi hota hai, uske liye bhi muqarrar wazan hai.

Key-examples

نَصِرَ Nasara sey نُصِرَ Nusira “wo madad kiya gaya”

كَتَبَ Kataba sey كُتِبَ Kutiba “wo likha gaya”

شَرِبَ Shariba sey شُرِبَ Shuriba “wo piya gaya”

دَخَلَ Dakhala sey دُخِلَ Dukhila “wo dakhil kiya gaya”

طَلَبَ Talaba sey طُلِبَ Tuliba “wo talab kiya gaya”

كَذَبَ Kazhaba sey كُذِبَ Kuzhiba “wo jhoot bola gaya”

غَفَرَ Gafara sey غُفِرَ Gufira “wo maaf kiya gaya”

> in key bhi 14 seegey hotay hai, Gaayib-Mukhaatib-Mutakallim sameyt.

 

Majhool Maadiy ke 14-Seegey

فُعِلَ Fu3ila [wo kiya gaya]

فُعِلَا Fu3ilaa [wo doh kiya gaya]

فُعِلُوا Fu3iloo [wo sab kiye gaye]

فُعِلَتْ Fu3ilat [wo ki gayi]

فُعِلَتَا Fu3ilataa [wo doh ki gayi]

فُعِلْنَ Fu3ilna [wo sab ki gayi]

فُعِلْتَ Fu3ilta [tu/ tum kiya gaya]

فُعِلْتُمَا Fu3iltuma [tum doh kiye gaye]

فُعِلْتُمْ Fu3iltum [tum sab kiye gaye]

فُعِلْتِ Fu3ilti [tu/ tum ki gayi]

فُعِلْتُمَا Fu3iltuma [tum doh kiye gaye]

فُعِلْتُنَّ Fu3iltunna [tum sab ki gayi]

فُعِلْتُ Fu3iltu [Main kiya gaya]

فُعِلْنَا Fu3ilnaa [Hum kiye gaye]

No comments:

Post a Comment

13. Faal-e-Amr wa Nahiy thalaathi-mujarrid Afaal-e-Saheehah [p114]

Faal-e-Maadiy aur Faal-e-Mudaari “Thalaathi-Mujarrid Afaal-e-Saheehah Maroof aur Majhool ke karney ke baad abh hum “Faal-e-Amr wa Nahiy Thal...