Thursday, March 16, 2023

13. Waqf (p13)

 Waqf : key maani Rukne aur Teharney ke hai, Yaani jis kalme par waqf karey us kalme ke akhiri hurf par Awaaz aur saans dono koh khatam kardey.

Kalme ke Akhiri hurf par Zabar, Zeyr, Peysh, Tanween, Aur Khadi-Harakaat ho toh us hurf koh waqf mein saakin kardey.

Kalme ke Akhir hurf apr Doh-Zabar (Fatahtayn) ho toh Waqf koh Alif sey badal dey. Kalme ke Akhir mein ة Gol-Ta (Ta Marbuta) koyi bhi Harakaat ho ya Tanween ho toh usseh Waqf mein ه” Hha” Sey Badal dey.

Khada-Zabar, Hurf-Madd aur Saakin-hurf waqf mein tabdeel nahi hotay.

Mushaddad Hurf (Tashdeed waala Hurf) par Waqf ki soorat mein Tashdeed Baaqi rakhey, magar Harakaat koh zaahir honay naa dey.

Noon-e-Qutniy : Tanween key baad Hamzah-Asli Aa-jaaye toh wasal mein Hamzah-Asli koh Giraatey huwe Tanween key Noon-Saakin ko zeyr/ kasra de-kar Ek chota sa noon diya jaata hai, usseh Noon-Qutniy kahte hai.

۞ : Yeh Waqf-e-Taam aur Ayat Mukammal honay ki Alamat hai Yaha teharna chaahiye.

م : Yeh Waqf-e-Laazim ki Alamat hai Yaha Zaroor teharna chaahiye.

ط : Yeh Waqf Multaq ki Alamat hai Yaha teharna bahtar hai.

ج : Yeh Waqf Jaayiz ki Alamat hai yaha Teharnaa Bahtar aur Naa teharna jaayiz hai.

ز : yeh Mujawwaz ki Alamat hai Yaha teharnaa jaayiz hai, aur Na teharna bahtar hai.

ص : yeh Murakh-khas ki Alamat hai Yaha Milaakar Padhna chaahiye.

لا : Agar Ayat ke uppar ho toh teharnaa aur Naa teharne mein ikhtilaaf hai, Ayat ke elaawah likha ho toh naa tehray.

No comments:

Post a Comment

13. Faal-e-Amr wa Nahiy thalaathi-mujarrid Afaal-e-Saheehah [p114]

Faal-e-Maadiy aur Faal-e-Mudaari “Thalaathi-Mujarrid Afaal-e-Saheehah Maroof aur Majhool ke karney ke baad abh hum “Faal-e-Amr wa Nahiy Thal...