(Date: 7/4/2023)
Yeh aysa Faal/ verb hai jis-mein “karney waala”
aur “joh kiya gaya” dono pata Chalta hai jaise; madad karne waala arabi mein
نَاصِرٌ “Naasir” yeh faayil hai ayse hi قَاتِلٌ “Qaatil” qatl karne waala etc. in-misaalo mein
faayil ya ism-e-faayil hai English mein Ism-e-Faayil koh Active participle
kahte hai.
Ishi mein Mafool “joh kiya gaya” uska bhi pataa
lagta hai jaise; مَق٘تُوْلٌ “Maqtool” jiska qatl
huwa, “Mansoor” مَنْصُوْرٌ jiska madad kiya gaya, ayse hi ek aur misaal
hai كُتِبَ “Kutiba” Likha gaya yeh bhi ism-e-mafool hai
English mein Ism-e-Mafool koh Passive participle kahte hai.
Ism-e-Faayil
ka mukhtasar taarruf
ism-e-Faayil aur Faayil mein faraq yeh
hai keh ism-e-faayil ke muqarrar awzaan (wazae) par mushtaq hai, jabke
saref-e-faayil jumle mein aaney ki wajah sey faayil banta hai jaise; خَتَمَ اللهُ Khatamallaahu Allah ney
mohar kar-diya, is-jumle mein lafz “Allah” faayil hai
par ism-e-faayil nahi.
Faayil Mukammal jumla bhi ho-sakta hai, neyz
faayil humesha Marfoo/ Raff3 hota hai jabke ism-e-faayil par 3-teeno haalate
aa-sakti hai jaise; وَ
مَنْ يَّقْتُلْ مُؤمِنًا
wa many-yaqtul muminan aur joh koyi momin ko qatt karey, is-ayat mein Muminan ba-zaat-e-khud ism-e-faayil ka seega hai lekin
jumla mein yeh batawr Mafool istemaal ho raha hai.
Ism-e-Faayil aysa ism-e-mushtaq hai joh karney
waale par dalaalat karey.
Faal Bil-lihaaz Faayil Faal/ Afaal mein
Doh-tarah key hotay hai joh poorey faal/ Afaal mein Istemaal hota hai inko
2-doh qisme hai معروف Maroof aur مجهول Majhool.
معروف Maroof: asal mein Faayil hota hai, iske
muqarrar awzaan yaani wazan hai jaise; فَعَلَ Fa3ala [us ek muzakkar
ney kiya], قَتَلَ Qatala [us ek muzakkar ne qatl kiya] etc.
Thalaathi
Mujarrid Maadiy Maroof ke 3-Awzaaan hote hai wo yeh hai
|
فَعَلَ |
Fa3ala |
|
فَعِلَ |
Fa3ila |
|
فَعُلَ |
Fa3ula |
Insabhi misaalo mein gaur karey, Fa, Ayn, Laam
(root/ maddah) hai joh Milkar F3l banta hai
> pahle waale wazan mein Fa-kalme par Zabar,
ayn-kalme par zabar aur Laam-kalme par zabar lagaaya jaata hai isko Fa3ala
padhte hai yeh Thalaathi Mujarrid Maadiy-Maroof ka yeh pahla wazan hai jiska
Ayn-kalma Ayn-Maftooh hota hai.
> doosre waale wazan mein Fa-kalme par Zabar
, ayn-kalme par zeyr aur Laam-kalme par zabar hota hai isko Fa3ila padhte hai yeh
Thalaathi Mujarrid Maadiy-Maroof ka yeh doosra wazan hai jiska Ayn-Maksoor hota
hai.
> teesre waale wazan mein Fa-kalme par Zabar
, ayn-kalme par peysh aur Laam-kalme par zabar hota hai isko Fa3ula padhte hai
yeh Thalaathi Mujarrid Maadiy-Maroof ka yeh teesra wazan hai jiska Ayn-Madmoon
hota hai.
Examples
فَعَلَ Fa3ala : usne kiya
كَتَبَ Kataba : usne likha
نَصَرَNasara : uske madad kiya
قَتَلَQatala: usne qatl kiya
حَمِدَ
Hamida: usne tareef kiya
قَرُبَ Qaruba: wo nazdeekh huwa.
Thalaathi
Mujarrid Maadiy Majhool ke wazan yeh hai
|
فُعِلَ |
Fu3ila |
Is-wazan pey gaur karey, yaha bhi 3-teen kalima
hai, yaad rahe Thalaathi-mujarrid-maadiy-majhool ke 1-hi wazan hai Jisko Fu3ila
kaha jaata hai iska maani “kiya gaya hai”
> pahle waale Fa-kalme mein Peysh/ damma
hota hai, aur doosra Ayn-kalme mein Zeyr/ Kasra hota hai aur Akhiri kalme mein
yaani teesre kalme Laam pey zabar/ fatah laga huwa hota hai, yeh Fu3ila banta
hai
Examples
فُعِلَ Fu3ila : Kiya gaya
كُتِبَ Kutiba : Qatl kiya gaya
نُصِرَNusira : madad kiya gaya
قُتِلَ
Qutila : qatl kiya gaya
Thalaathi
Mujarrid Mudaari Maroof ke bhi 3-awazan hai wo yeh hai
|
يَفْعَلُ |
Yaf3alu |
|
يَفْعِلُ |
Yaf3ilu |
|
يَفْعُلُ |
Yaf3ulu |
Is sabhi wazano koh gar karey, yeh sabhi
Thalaathi Mujarrid Mudaari Maroof ke 3 awzaan baa-mutaabiq Maadiy-Maroof key.
> pahle waala wazan Yaf3alu ke [ayn-kalma
maftooh hota hai] yaani iskle Ayn kalme mein Zabar laga huwa hota hai.
> doosra waala wazan Yaf3ilu ke [ayn-kalma
maksoor hota hai] yaani iskle Ayn kalme mein Zeyr laga huwa hota hai.
> teesra waala wazan Yaf3ulu ke [ayn-kalma madmoon
hota hai] yaani iskle Ayn kalme mein Peysh laga huwa hota hai.
Iski misaale’n yeh hai; [wazan ke
aytebaar sey red-color sey highlight kiya gaya hai Jisseh aap yeh samjh-sake
yeh Mudaari Maroof ke kis-wazan sey talluq rakhta hai.]
Examples
يَفْعَـلُ Yaf3alu : wo karta hai/ wo
karega
يَنْصُـرُ Yansuru : wo madad karta
hai/ wo madad karega
يَكْـتُـبُ Yaktubu : wo likha hai/ wo
likhega
يَضْـرِبُ Yadribu : wo bayan karta
hai/ wo bayan karega
يَغْـفِـرُ Yagfiru : wo baqshta hai/
wo baqshe-ga
يَجْــعِـلُ Yaj3alu : wo banaata hai/
wo banaayega
Aagey jis-tarah post-update kiya jaayega waise hi yeh page bhi update hota-rahgega update waale hisseh mein Update-Date mentioned (Date: 7/4/2023] hoga jissej aap yeh maloom kar-paaye konsi? Post pahle aur konsi baad mein upload kiya gaya hai.
No comments:
Post a Comment