Yeh Aysa Faal/ Afaal (verb) hai jisme hum Faal/ Afaal ka zamaana ka pata karte hai yeh 3 tarah ke hote hai wo yeh hai;
1. Faal-e-Maadiy : yeh aysa lafz hota hai joh yeh bataaye ke kaam ho-chuka hai
jaise; usne likha yaha is-misaal mein koh gaur karey “usne likha” yeh guzre
huwe zamaane ki khabar de raha hai ishi tarah “usne qatl kiya” yeh bhi guzre
huwe zamaane ki khabar de-raha hai. yaad Rahey joh bhi faal/ lafz guzre huwe
zamaane ki khabar dey wo-Faal Maadiy (perfect tense) hai, iske Muqarrar awzaan
hai thalaathi mujarrid mein Maroof ke 3-teen awzaan aur Majhool ka 1-ek wazan
par hota hai.
2. Faal-e-Mudaari : aysa faal/ lafz joh mustaqbeel aur haal ki khabar dey jaise; wo
likha hai/ wo likhega is-misaal mein yeh maazi nahi balke mustaqbeel (future)
aur haal (present) dono bataaye isko English mein Imperfect tense kahte hai.
Thalaathi Mujarrid mein Maroof ke 3-teen awzaan aur Majhool ka 1-ek wazan hota
hai
3. Faal Amr wa Nahiy : yeh aysa fayl hai jisme kaam karne ka huqm ho yeh haazir/
mukhaatib ke seego sey bante hai, iske elaawah Nahiy aysa fayl hai jisme kaam
na-karne ka Huqm ho yeh bhi mukhaatib/ haazir ke seego sey banta hai.
No comments:
Post a Comment