Faal ke Tadaad mein hum yeh dekhte hai ke Huroof ki tadaad kiya hai maslan “Kitaabun” lafz mein maddah Kaaf, Taa, Baa (root-letter) 3-hurfo / kalmo se banaa huwa hai isko thalaathi mujarrid kahte hai kyu ke yeh “Kitaabun” lafz ka maddah 3-teen hai.
Maddaayi Huroof ke qisme
> Thalaathi Mujarrid : jis lafz ka
maddah 3-teen ho usseh thalaathi mujarrid kahte hai.
> Thalaathi Mazheed Feehi : yeh lafz
thalaathi mujarrid hota is-mein mazheed lafz jora jaata hai, is-mein thalaathi mujarrid mein izhaafa kiya jaata hai
mazheed feehi banaane ke liye thalaathi Mujarrid Mazheed feehi ke bhi muqarrar
awzaan hai.
> Rubaa3i Mujarrid : Asya lafz jiska
maddah 4 lafzo sey banaa huwa ho, usko Rubaa3i/ Rubaayi Mujarrid kahte hai.
> Rubaa3i Mazheed Feehi : Aysa lafz
jiska maddah 4 lafzo ka hi hai lekin Rubaa3i mujarrid mein mazheed izaafa kiya
jaata hai.
Isko yaad rakhey yeh bohut Eham nuqta hai
jismein yeh maloom hota hai Lafz ki Buniyaadi Huroof/ kalme ki tadaad kitni hai
3 hai yah 3+ hai, 4 hai yah 4+ hai.
No comments:
Post a Comment