Jab humey kisi jaandaar ya kisi cheez ki nisbat kisi ki taraf bataani ho ya kisi sey talluq batana ho, Arabi mein yoo bataate hai;
عَبْدٌ Abd (banda) ka talluq اللهُ Allah sey bataana ho toh عَبْدُاللهِ Abdullaah (Allah ka banda) [19:30]
رَسُولٌ Rasool (paygambar) ka talluq اللهُ Allah sey bataana ho toh رَسُولُ اللهِ Rasool-ullaah (Allah ke Rasool/ Allah ka paygambar) [4:171]
Darj Zaeel misaalo ko gaur karey: har misaal
mein 2-doh ism hai, pahle ism ke aakhir sey Tanween girr gaya hai aur doosre
ism ken aakhir mein zeyr lagaa diya gaya hai toh kisi koh kisi ki taraf nisbat
dena ho ya kisi ko kisi ka talluq bataana ho toh ishi tarah sey murakkab
banaate hai.
Jiska talluq bataana ho us-ism ko pahle aur jis
ism sey talluq bataana ho usseh baad mein likhte hai, is murakkab ke pahle
waaley ism koh مضاف muzhaaf kahte hai aur
Muzhaaf mein kabhi Tanween aur Al+ “laam-ut-taareef” nahi lagta hai, Aur Doosre
waaley ism koh مضاف
اليه Muzhaaf ilaih kahte
hai aur iske aakhir mein humesha zeyr aata hai.
(Easy formula) Muzhaaf aur Muzhaaf-ilaih
|
ism-e-Marifah (ism-e-ilm) muzakkar |
ism-e-Nakrah waahid muzkkar |
|
اللهُ |
رَسُولٌ |
|
Allaahu |
Rasoolun |
|
Allah |
Paygambar |
|
مضاف اليه |
مضاف |
|
اللهِ |
رَسُولُ |
|
Rasoolullaahi Allah
ke Rasool |
|
>pahla waala ism agar tathniyyah ya Jama3
muzkkar saalim ho toh unka noon us murakkab koh banaate waqt giraa diya jaata
hai:
بَابٌ Baabun (darwaaza) iska
tathniyyah بَابَانِ Baabaani aur بَابَيـنِ Baabaayni (do darwaaza) inko muzhaaf yoo
banaate hai;
بَابَا
الْبَيْتِ Baabal-bayti (ghar ke doh darwaaze),
اِلـٰى
بَابَى الْبَيْتِ
ilaa-Baabal-bayti (ghar ke doh darwaaze ki taraf)
Ishi tarah
مُسْلِمٌ Muslimun (darwaaza) iska
tathniyyah مُسْلِمُوْنَ Muslimoona aur مُسْلِمُيْنَ Muslimeena (sab muslim muzakkar/mard) inko
muzhaaf yoo banaate hai;
مُسْلِمُوا
الْهِنْدِ Muslimul-Hindi (Hindustaan ke muslim log),
اِلـٰى
مُسْلِمـِي الْهِنْدِ Muslimil-Hindi (Hindustaan ke muslim logo’n ki taraf).
Muzhaaf ilaih agar tathniyyah ho toh
Akhir mein ِيْنَ eena aur Jama3 Muzakkar
saalim ho toh ِيْنَ eena laate hai
بَيْتُ
الْمُسْلِمَيْنِ
Baytul-Muslimayni (Doh Muslim mard ke Ghar,
بَيْتُ
الْمُسْلِمَتَيْنِ
Baytul-Muslimatayni (Doh Muslim awrat ke Ghar),
بَيْتُ
الْمُسْلِمِيْنِ
Baytul-Muslimeena (Muslim Mardo’n ka Ghar),
بَيْتُ
الْمُسْلِمَاتِ
Baytul-Muslimaati (Muslim awrato’n ka Ghar).
Muzhaaf ilaih humesha haalat-e-zeyri mein
hota hai, isliye Muzhaaf ilaih waahid, jama3 muannas saalim aur Jama3 Mukassar
ho toh uske Akhir mein aakhir mein humesha zeyr aata hai.
Mukhtalif Ayraabi haalat (peyshi, zeyri,
zabari) ka athar muzhaaf par hota hai.
#Quran-e-kareem sey chand misaale’n
غَيْبَ
السَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Gaybas-samaawaati wal-ardi
Asmaano aur Zameen ka Gayb (2:33)
بِغَيـْرِ
الْحَقِّ
Bi-Gayril-Haqqi
Bagair sach/ haq ke saath (2:61)
اَصْحٰبُ
الْنَارِ
Ashaabun-naari
Aag waaley (2:82)
كِتٰبَ
اللهِ
Kitaaballaahi
Allah ki Kitaab (2:101)
دَارُ
السَّلٰمِ
Daarus-salaami
Salaamti ka ghar (6:127)
حُدُوْدُ
اللهِ
Hudoodullaahi
Allah ki Hudood (2:187)
مِنْ
اَنۢبَآءِ الْغَيْبِ
Min Ambaail-Gaybi
Gayb ki khabro’n sey (3:44)
مثتثنٰى Muthtathnaa :
امْرَاَتُ
عِمْرٰنَ
Amra’atu 3imraana
Imraan ki Awrat/ biwi (3:35)
مَّقَامُ
اِبْرٰهِيْمَ
Mmaqaamu ibraaheema
Ibraheem ka Maqaam (3:97)
اَبْوَابَ
جَهَنَّمَ
Abwaabu jahannama
Jahannam ke darwaaze (39:72)
No comments:
Post a Comment