Mukhtalif alfaaz ke murakkab ko jumla kaha jaata Jisko tarteeb sey qawaayid ke lihaazh karte huwe banaaya jaata hai, jumla ek poori baat samjh mein aati hai, agar jumla ism sey shuru ho toh jumla-e-ismiyah kahte hai.
Jumla-e-ismiyah ism-e-Marifah/ khas naam sey
shuru hota hai, phir ism ya nakrah ism, murakkab-e-izhaafi, murakkab-e-tawseefi
aur murakkab-e-majrooraat ya Faal/ Afaal koh laakar jumla poora kiya jaata hai.
Jaise;
|
اَحَدٌ |
اَللهُ |
|
Ahadun |
Allahu |
|
koyi ek hai |
Allah |
|
ism nakrah wahid |
ism zaat “marifah” wahid |
|
Allah Ek Hai |
|
مُحَمَّدٌ
رَّسُوْلُ اللهِ
Muhammadur Rasoolullaah
Muhammad Allah ke Rasool hai,
Muhammad Allah ke paygambar hai,
Muhammad Allah ke bheje huwe hai.
مبتدا Mubtida us ism ya
murakkab ko kahte hai joh jumle ki ibtidaa karey, aur Mubtida ke talluq se
aagey joh bataaya jaata hai usseh خبرKhabar kahte hai,
uppar ki misaal mein pahla ism mubtida hai aur khabar hai.
Mubtida bil-maloom ism-e-khaas ya koyi murakkab
hota hai aur khabar ya-toh ism-e-aam hoti hai ya-koyi murakkab ya-koyi faal.
Kabhi khabar koh mubtida sey pahle likhte hai.
No comments:
Post a Comment